Thursday, 11 August 2011

kasmakash.....

Lamh3 maIn maIn3 huMeshA Har pal ko qaId kaRn3 kI

KoSis ki hai......

woH pHelA pyaR.....

woH pheLi dosti.....

woh papA ki saBashi....

woH badmAshiyon main unka guSsa karna....

maa ki woh lad aur pyar....

woh pheli judai ka aalam...

aaj lamhe main aur ek lamha shamil karne ja rahi hu jo hum sab k zindagi main aata hai......

aaj lamhe main meri diary se ek pal.....

10.08.2011

aaj mera last college main mera akhari din tha....last exam last paper....
aaj mera human resource legislation ka paper tha...ye paper mujhe bilkul pasand nhi hua karta tha....is paper ko lekar main bahut pareshan thi.....kal raat se kuch jyada hi pareshan thi...padhai karte karte bahut neend aa rahi thi raat ko
padhai karu toh neend aati hai....aur sone jau toh pareshani k karan so nahi pa rahi thi....
bahut muskil se so payi....

phir subha hui...exam kaisa hoga uska tanaw tha....phir waqt beet ta ja raha tha
aise kar k woh waqt bhi aa gaye jab mujhe college k liye nikalna pada....
subha se mausam kharab tha barish ho rahi thi...
aise hi hum college k nikal gaye.....aaj college main kafi bhari maan se ja rahi thi...

ek toh exam ka pressure tha upar se college ka akhari din bhi....

woh pal yaad aa rahe the jab main college pheli baar ja rahi thi....

maan main bahut sare sawal the....

doston se dur jane ka dukh bhi tha....

samjh nahi aa raha tha kaise react karu...apne mba khatam hone ki khushi manau ya zindagi main aane wale chunotiyon k liye khud ko tayar karu......
aaj aisa lag raha hai jaise zindagi ke ek padao se aage badh rahi hu....
mazil toh kahin aur hai.....

tha ye bhi ek haseen padao zindagi ka....
jahan mujhe bahut kuch sikhne ko mila,naye log,naye dost kuch khati meethi yaadon ke saath.....

aaj lag raha hai aage toh mujhe jana hai......

bahut sare raston main se kisi ek ko chunna hai mujhe....

main humesha se yahi manti aayi hu ki har faisala aapki zindagi main bahut mahatwa rakhta hai....

kyun ki uska parinaam aapko ko hi bhugutna padhta hai....
raste to kai hai.......................​.........

par kaun sa rasta mujhe aapni mazil ke aaur le jayega....ab bas yahi tai karna hai....

phir se zindagi ke naye padaw pe kadam rakhne ja rahi hu naye raango ke saath
dekhte hain ye raang kaun sa raang lekar aate hain meri zindagi main....

phir se kuch naye sapne hai...
phir kuch umeediyen hain...........

dekhte hain ye raste mujhe kahan le jayenge....
chal padi hu phir se ek naye safar pe.......aapne sapno ko pura karne ki chah main......................​..

1 comment: