chand ko lekar aapne bahut sare kissey khaniyan aur na jane kitne shero shayari suney hongey.....
aaj main bhi aap ko ek kissa sunaney ja rahi hu.....meri aapni zindagi se......
ye bachpan bhi ajeeb hota hai na......bilkul geeli meeti kaise jaisa hota hai aapka bachpan kumhar aapko jaise aapne sanchey main dhalta hai aap waise hi uskey sanchey main dhal jate ho......
sahi main bache maan ke kitni sache hotey hain....umar hi aisi hoti hai aapko na khud ki samjh hoti hai aur na duniya ki samjh hoti hai jo aapse jo kehta hai aap maan jate ho.....
aaj se 18 saal purana kissa hai par aaj bhi jab yaad aata hai to aapni masumiyat pe hansi aati hai....
Tab hum bombay main rehtey the....main mummy aur papa...
4 saal ki chooti si bachi....jiska mummy papa ke siwa aur koi rishta nahi tha....
classes,play ground,doston ke saath masti,home work isko chod ke aur nahi tha zindagi main....
Meri life ki pheli garmi chooti......bahut khushi thi ki ek break mil gaya...hum sab ghumney jayenge...
maine aapne sare favourite dress mummy ko pakada diye ki mummy mujhe ye pehna hai....
hum apne gaon jane wale the......jharkhand
Jharkhand main ek chote se gaon main mera ghar hai jo west singhbhum area main aata hai...
jahan tak mujhe yaad hai ye mere phela safar tha...is se phele jab gayi thi par main kuch mahino ki thi....
bahut excited main thi hum train se ja rahe the....lamba safar tha....
finally hum gaon paunchey bahut excited thi nayi jagah naye log dekh ke...
but wahan sab kuch alag tha mere liye....mera gaon bahut hi chota tha....kachi sadak,meeti ka ghar,wahan bijli bhi nahi thi.....mere liye sab bahut ajeeb tha par wahan sab ka itna pyar mila ki jyada un baaton par dyan nhi diya....
wahan pheli baar aapne rishtadaron se mili....
chachu,dadi maa bade papa badi mummy,mere baki bhai behen....bahut masti ki humne phir garmi ki chootiyan beet gayi aur hume wapas bombay aana pada....
chootiyan khatam hone ke baad wapas school life main....
shaam hui main normal life ke tarah play ground gayi aapne doston ke pass khelne ke liye.
Bahut dino ke baad apni dost dolly se mili hum dono khele lage....aaj usne nayi dress pehni hui thi...
maine usko new pinch kiya aur kaha acchi dress hai...usne kaha haan mere mama ji ne gift ki hai....
hum kuch der khele saath phir main aapne ghar laut aayi....
Aaj main ghar ek naye sawal ke saath wapas gayi thi...
"MAMA"
maine ghar jakar mummy se pucha ki mummy mama kya hota hai????
mummy ne jawab diya beta jo aapke mummy ke bhai hotey hain...usko mama kehte hain....
(meri mummy ki family bahut hi badi thi....4 beheney aur 4 bhai.....par bahut dhuk ki baat thi....ki mere charo mama ji is duniya main nahi the.....meri nani ji ka dehant jab mummy chooti thi tab hi ho chuka tha aur mummy ke shaadi ke ek saal baad nana ji chal basey....aur baki mausiyon ki shaadi ho chuki thi....isliye kabhi nana ji ke ghar nhi gayi thi...koi tha hi nahi....)
main baar baar puch rahi thi ki mummy mere mama ji nahi hai?????woh kahan hai?????mere mama ji kyun nahi hain?????
meri mummy ne mere sawalon se pareshan ho kar kaha woh hain tumhare mama ji.....unhone ne chand ko dikha kar kaha.....
tab se main chand ko hi aapna mama samjhti thi.....mujhe kuch bhi chaiye hota main mama ji se pray karne lagti thi.....
ek ajeeb se rishta jhud gaya tha mera aur chand ka.....haar baat unse share karna.....ki mama ji aaj ye hua aaj woh hua....jab kabhi mummy daanti tab unse unki behen ki shikayat karti....ki aaj mummy ne gussa kiya....
main aapni haar jarurat kehne lagi thi.....
meri mummy bhi meri har jarurat puri karti aur kehti mama ji ne kiya hai tumhare liye.....woh dekhti ki unki chooti si beti is jhoot se khush hai....
jitney din tak meri jaruratey puri hoti rahi....utna hi mera mere chanda mama se rishta aur ghera hota gaya....
ek baar ki baat hai.....
main koi badmashi ki thi.....toh mummy ne gussa ho kar mujhe bathroom main lock kar diya.....
main roti rahi chanda mama chilati rahi....bahut bulaya maine chanda mama ko ki please aao aur mujhe bathroom se nikalo....bahut bulaya tha maine unhe....
woh toh chand the....kahan aatey mere bulane par.....
1 gaanta tak mummy ne lock kar k rakha tha mujhe bathroom main......
tab tak ro ro kar mera haal bura ho chuka tha....us se bhi jyada main naraz thi aapni mama ji se....
ki kya hua jo woh mujhe bachane nahi aaye.....
aaj tak toh humesha meri har khwaish puri ki par aaj mere musibat pe mera saath kyun nahi diya......
main bahut upset thi.....phir mummy ne mujhe bahar nikala aur bahut pyar se aapne haanton se khana khilaya aur phir samjhaya ki aisa nhi karte hain....
us din se maine mere mama ji se kati kar li thi....
bahut saal tak baat nhi ki....
phir jab badi hui sab kuch samjhne lagi toh.....aaj yaad kar ke hansi aati hain mujhe aapne aap pe....
ye tha ek lamha meri zindagi ka.....

wow nice par........
ReplyDeletetumhari ye Chandamama ne Chandni bikhraate hue poocha,
Apne Husn Par Zara Itraate hue poocha,
Kon hai yaha jo mujhsa haseen hai?
Duniya me aisa koi nahi hai.
Mene kaha mera mehboob tujhse haseen hai,
Jo baat usme hai tujhme bhi nahi hai
Baadlo se teri Chandni Chhip Jaati hai,
Vo jidhar dekhle roshni ho jaati hai,
Tu sirf raat he ko nazar aata hai,
Uska Chehra mujhe har pal nazar aata hai
Teri raat bhar ki Chandni me main doob nahin sakta,
Uski Jheel si aankhon se doobkar nikal nahi sakta,
Tu door hai itna tujhe paa nahi sakta,
Vo kareeb hai itni Chhodkar Jaa nahin sakta,
Tu adhoora hai in sitaron ke bina,
Me adhoora hu un isharo ke bina,
Tu aasman ka Chand hai,
Vo is Jahan ka chand hai,
Vo ik Mauj hai dariya ka saahil nahi,
Fark bas itna hai ke "Tu Mera Manzil Nahi"